Tuesday, December 16, 2008

Zindagi ki rahon mein...

tujhe gham ki sham kahun ya khushi ka savera
zindagi tu hi bata tujhpe mera haq hai ya tera..
kabhi tune rahon mein kaante bichhaye
kabhi tune palkon pe humko bithaya...
chaha jo maine khushi ka ujala
gham ke andheron ne mujhko daraya..
kabhi gham ki ghazalon ne mujhko rulaya
kabhi maa ki lori ne mujhko sulaya
kahi ankahi ansuni thi jo baatein..
sabhi hanske tune hai mujhko sikhaya..
tumhaari badaulat main ab bhi khada hu..
jab bhi dagar pe kadam ladkhadaya..
tujhe gham ki sham kahu ya khushi ka savera
zindagi tu hi bata tujhpe mera haq hai ya tera........

1 comment: